Sunday, May 18, 2014

Sab Kuch Bhula Diya.....

Kisi ki muskan k liye sabkuch mita diya,
Hum to itne pagal the....
Hum to itne pagal the...
K na jane apni khushi ko kab bhula diya......

Unhe hasta dekhne ki chahta me apne gham ko bhi chupa diya,
hum to itne hairan the,
hum to itne anjan the,
k na jane apni ruhh ko bhi kab dagaa diya......

Woh sab se bhekhabar yun ruksaar ho gaye,
woh akele akele yun farar ho gaye,
K ek pal dil me khayal aa hi gaya,
k humne kiske liye khudko luta diya........
hum to itne pareshan the,
hum to itne nadaan the,
ki unki parchai ko bhi gale se laga liya.....

Hum to itne pagal the,

k na jane apni khushi ko kab bhula diya.....
k na jane apni khushi ko kab bhula diya...

No comments:

Post a Comment