Sunday, May 18, 2014

Sab Kuch Bhula Diya.....

Kisi ki muskan k liye sabkuch mita diya,
Hum to itne pagal the....
Hum to itne pagal the...
K na jane apni khushi ko kab bhula diya......

Unhe hasta dekhne ki chahta me apne gham ko bhi chupa diya,
hum to itne hairan the,
hum to itne anjan the,
k na jane apni ruhh ko bhi kab dagaa diya......

Woh sab se bhekhabar yun ruksaar ho gaye,
woh akele akele yun farar ho gaye,
K ek pal dil me khayal aa hi gaya,
k humne kiske liye khudko luta diya........
hum to itne pareshan the,
hum to itne nadaan the,
ki unki parchai ko bhi gale se laga liya.....

Hum to itne pagal the,

k na jane apni khushi ko kab bhula diya.....
k na jane apni khushi ko kab bhula diya...

Wednesday, May 14, 2014

Kuch Pal Yaad reh Jate hain........

Kuch pal yaad reh jate hain,
kuch lamhe ehsaas ban jate hain, 
ek aisi kahani h unki hamare bhi, 
Jiske paane aksar palat jate hain......

Us din baatein yuhi shuru ho gayi, 
Woh ruki huwi dastan aise hi aage badh gayi, 
Us aawaj aur andaz ko main sun rahe tha, 
Asliyat se anjan yuhi has rahe tha,
Ujale se andhero me sab kuch badal gaya, 
Aur main, aur main unki saason ki awaj ki ore kichta chala gaya,
kya khas tha usme ye pata nahi, kya khas tha usme ye to pata nahi,
kya soch raha tha iski bhi khabar nahi........
bas itna jaanta hun k main kho chuka tha,
bas itna jaanta hun k main kho gaya tha...........
Apni aawaj tak ko bhul chuka tha,
Apni aawaj tak ko yun bhul chuka tha k woh kuch keh rhi thi aur main kuch sun raha tha,
Un saason ki awaj me Mann kahi atka pada tha,
Un saason ki awaj me mann atka pada h,
Ab to Karwat badalte hi woh khayal ubar aate hain,
ab to karwat badalte hi khayal ubar aate hain,
Kuch pal yaad reh jate hain,
Kuch lamhe ehsaas ban jate hain.........