Saturday, February 2, 2013

Dhalta huwa Suraj........

Dhalta huwa Suraj :
 














Part 1:
 Fir dhalte suraj ko dekh raha hun main,
Fir wahi aarzo me doob raha hun main,

 Tumse milne ki tammanna ek baar yuhi,
Dil me liye ghum raha hun main,

Tumse pehli mulakat aaj bhi yaad h,
Woh jhuki huwi palke aaj bhi yaad h,

... Woh masum chehra, wahi delkash nigahen,
Tumhare hoton ki woh muskurat bhi yaad h,
 

Tum najare jhukaye rakhti thi, kabhi na yuhi uthayi rakhti h,
Hum chup chup k tumhe dekha krte the, yuhi bas aahe bhara krte the,
 

Fir sharma k tum kuch keh jati thi, aur kabhi kabhi keh bhi na pati thi,
chahe tum roti ya muskurat thi, woh hoton ki lali kam na ho pati thi,
 

Bas mauka ko dosh dun ya aas pas k logo ko, hamari nazare tumhe ghur bhi na pati thi,
Woh silsila yuhi chalta raha hufto tha, woh karwa yuhi badta raha maheno tak,


 Fir na jane kabhi silsila tham jayega, yeh kyun na samjh paya, aaj soch raha hun main,
Fir un jharokho me ghum raha hun main,

Fir dhalte huwe suraj ko dekh raha hun main.................


Fir dhalte huwe suraj ko dekh raha hun main.................

No comments:

Post a Comment